dil to aaKHir dil hai dil ko etibar aa hi gaya
dil to aaKHir dil hai dil ko etibar aa hi gaya
Mohammad Muzammil Khan
MORE BYMohammad Muzammil Khan
dil to āḳhir dil hai dil ko e'tibār aa hī gayā
laakh shikve hoñ unheñ dekhā to pyaar aa hī gayā
us nazar par ho masīhā kī masīhā.ī nisār
jis nazar se be-qarārī ko qarār aa hī gayā
un ke dam se mai-kade kī aur raunaq baḌh ga.ī
vo jo aa.e jhuum kar abr-e-bahār aa hī gayā
mar ke bhī sar se na saudā jā sakā is shauq kā
kū-e-jānāñ tak mirā uḌ kar ġhubār aa hī gayā
baḌh ga.ī had se mirī 'bechain' ab bechainiyāñ
kaam āḳhir merā ḳhūn-e-dil-fiġhār aa hī gayā
dil to aaKHir dil hai dil ko e'tibar aa hi gaya
lakh shikwe hon unhen dekha to pyar aa hi gaya
us nazar par ho masiha ki masihai nisar
jis nazar se be-qarari ko qarar aa hi gaya
un ke dam se mai-kade ki aur raunaq baDh gai
wo jo aae jhum kar abr-e-bahaar aa hi gaya
mar ke bhi sar se na sauda ja saka is shauq ka
ku-e-jaanan tak mera uD kar ghubar aa hi gaya
baDh gai had se meri 'bechain' ab bechainiyan
kaam aaKHir mera KHun-e-dil-fighaar aa hi gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.