dil to dil shart ye hai jaan bhi qurban karna
dil to dil shart ye hai jaan bhī qurbāñ karnā
kuchh hañsī-khel nahīñ aap kā armāñ karnā
mere vahshat ke vo andāz kahāñ un ko nasīb
phuul sīkheñ to abhī chāk-e-garebāñ karnā
aur kuchh un ko nahīñ ġhair ke qissoñ se ġharaz
kuchh na kuchh kah ke mire dil ko pareshāñ karnā
bujhne vaalā hai marīz-e-ġham-e-ulfat kā charāġh
dushmanoñ se koī kah de ki charāġhāñ karnā
āsmāñ ko hai chamakte hue tāroñ pe ġhurūr
tum zarā apnī jabīñ ko to pur-afshāñ karnā
ai dil-e-zār ye aaya nigah-e-nāz kā tiir
hausle se bhī sivā ḳhātir-e-mehmāñ karnā
sun rahā huuñ ki phir aane ko hai gulshan meñ bahār
tauq-e-zanjīr kā mere liye sāmāñ karnā
āfateñ kunj-e-qafas kī haiñ muqaddar meñ 'ziyā'
kab mayassar ho mujhe sair-e-gulistāñ karnā
dil to dil shart ye hai jaan bhi qurban karna
kuchh hansi-khel nahin aap ka arman karna
mere wahshat ke wo andaz kahan un ko nasib
phul sikhen to abhi chaak-e-gareban karna
aur kuchh un ko nahin ghair ke qisson se gharaz
kuchh na kuchh kah ke mere dil ko pareshan karna
bujhne wala hai mariz-e-gham-e-ulfat ka charagh
dushmanon se koi kah de ki charaghan karna
aasman ko hai chamakte hue taron pe ghurur
tum zara apni jabin ko to pur-afshan karna
ai dil-e-zar ye aaya nigah-e-naz ka tir
hausle se bhi siwa KHatir-e-mehman karna
sun raha hun ki phir aane ko hai gulshan mein bahaar
tauq-e-zanjir ka mere liye saman karna
aafaten kunj-e-qafas ki hain muqaddar mein 'ziya'
kab mayassar ho mujhe sair-e-gulistan karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.