dil to fariyaad kiya karta hai
dil to fariyād kiyā kartā hai
ziist farmān sunā detī hai
shāḳh se phuul girā kar ke havā
tere aane kā patā detī hai
gul ko do buuñd pilā kar shabnam
pyaas sahrā kī bujhā detī hai
gungunātī huī ik yaad tirī
bujhte sho'loñ ko havā detī hai
pyaar hai siip kā motī jis ko
ret sāhil kī du'ā detī hai
girtī būñdoñ se lipaT kar miTTī
apne dukh dard bhulā detī hai
bahte raste pe thiraktī naav
yaad bachpan kī dilā detī hai
chāñd ḳhāmosh khaḌā rahtā hai
mauj tūfān machā detī hai
dil to fariyaad kiya karta hai
zist farman suna deti hai
shaKH se phul gira kar ke hawa
tere aane ka pata deti hai
gul ko do bund pila kar shabnam
pyas sahra ki bujha deti hai
gungunati hui ek yaad teri
bujhte sho'lon ko hawa deti hai
pyar hai sip ka moti jis ko
ret sahil ki du'a deti hai
girti bundon se lipaT kar miTTi
apne dukh dard bhula deti hai
bahte raste pe thirakti naw
yaad bachpan ki dila deti hai
chand KHamosh khaDa rahta hai
mauj tufan macha deti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.