dil to kahta hai naql-e-makani karun
dil to kahtā hai naql-e-makānī karūñ
naam tere maiñ apnī javānī karūñ
jab koī she'r terī tabī'at kā ho
bhejne kī tujhe mehrbānī karūñ
us ke bachpan kī tasvīr mil jaa.e gar
yaad taaza maiñ phir se purānī karūñ
vo tasavvur meñ aa.e to pahle zarā
zikr us kā maiñ apnī zabānī karūñ
ḳhvāb meñ mujh se milne kā vā'da to kar
raat maiñ bhī to apnī suhānī karūñ
be-jhijak ḳhāna-e-dil meñ aa jā kabhī
sidq-e-dil se tirī mezbānī karūñ
aarzū hai vo 'ahmad' mile bazm meñ
us ke lahje meñ paidā ravānī karūñ
dil to kahta hai naql-e-makani karun
nam tere main apni jawani karun
jab koi she'r teri tabi'at ka ho
bhejne ki tujhe mehrbani karun
us ke bachpan ki taswir mil jae gar
yaad taza main phir se purani karun
wo tasawwur mein aae to pahle zara
zikr us ka main apni zabani karun
KHwab mein mujh se milne ka wa'da to kar
raat main bhi to apni suhani karun
be-jhijak KHana-e-dil mein aa ja kabhi
sidq-e-dil se teri mezbani karun
aarzu hai wo 'ahmad' mile bazm mein
us ke lahje mein paida rawani karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.