dil to mera barbaad hai sahab kya jine ko bole ho
dil to mirā barbād hai sāhab kyā jiine ko bole ho
jaan gañvā.ī hañs ke ham ne tum kaahe ko ro.e ho
bandhan haiñ kuchh rasmeñ haiñ kuchh roke haiñ kuchh khīñche haiñ
jab rishte bāñdhe haiñ ham ko kyoñ zanjīreñ khole ho
ham pe jo guzrī ham jaane haiñ koī kyā samjhā.egā
ham miT ke barbād hue jab tum kyā dil ko TaTole ho
samjheñ kyā samjhā.eñ kis ko kaun hai jo ab samjhegā
ḳhuun ke rishtoñ ne Thukrāyā apnā kis ko bole ho
ham par ye ilzām lagāyā kyoñ ye mohabbat karnī thī
dil kā lagānā jurm agar hai kyoñ dil ko dil bole ho
jal jal kar jab raakh hue ho tum jaanā kyā hastī hai
miT miT kar āzād hue tab gard bane ho Dhole ho
miTTī ke sab miTTī honā kyā pachhtānā kyā ronā
bhed bharam sab faash hue jab diin dharm kyā tole ho
tum se ham ne chhīn ke ḳhud ko ḳhud ko bhī Thukrāyā hai
ḳhud maiñ jab maiñ ḳhud hī nahīñ to tum kyoñ mere hole ho
duniyā ko apnā kar ham ne ḳhud ko phir be-mol kiyā
kaun ginā.e tum ko 'bāliġh' kis kis ke tum hole ho
dil to mera barbaad hai sahab kya jine ko bole ho
jaan ganwai hans ke hum ne tum kahe ko roe ho
bandhan hain kuchh rasmen hain kuchh roke hain kuchh khinche hain
jab rishte bandhe hain hum ko kyon zanjiren khole ho
hum pe jo guzri hum jaane hain koi kya samjhaega
hum miT ke barbaad hue jab tum kya dil ko TaTole ho
samjhen kya samjhaen kis ko kaun hai jo ab samjhega
KHun ke rishton ne Thukraya apna kis ko bole ho
hum par ye ilzam lagaya kyon ye mohabbat karni thi
dil ka lagana jurm agar hai kyon dil ko dil bole ho
jal jal kar jab rakh hue ho tum jaana kya hasti hai
miT miT kar aazad hue tab gard bane ho Dhole ho
miTTi ke sab miTTi hona kya pachhtana kya rona
bhed bharam sab fash hue jab din dharm kya tole ho
tum se hum ne chhin ke KHud ko KHud ko bhi Thukraya hai
KHud main jab main KHud hi nahin to tum kyon mere hole ho
duniya ko apna kar hum ne KHud ko phir be-mol kiya
kaun ginae tum ko 'baaligh' kis kis ke tum hole ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.