dil to phulon se ba-tahrik-e-gham-e-dil bandha
Interesting Fact
(Tarahi Mushaira, in the memory of Basir Konoli)
dil to phūloñ se ba-tahrīk-e-ġham-e-dil bāñdhā
ham ne gulshan se magar ḳhud ko ba-mushkil bāñdhā
vaqt-o-hālāt ne māhaul ajab mil bāñdhā
qatl-gāhoñ ne samāñ sūrat-e-mahfil bāñdhā
bāñdhte kyā the ta.alluq ke ye rishte ham ko
jabr-e-fitrat hai ki be-tauq-o-salāsil bāñdhā
kaun pahuñchā hai sar-e-manzil-e-hastī ab tak
jo jahāñ rah gayā thak kar use manzil bāñdhā
tum se rokā na gayā haath kisī qātil kā
jab bhī bāñdhā hai faqat bāzū-e-bismil bāñdhā
āzmānā thā mere zauq-e-nazar ko shāyad
har jagah us ne nayā parda-e-hā.il bāñdhā
ham ne jab se tirī rāhoñ meñ qadam rakhā hai
kisī manzil kā tasavvur bhī ba-mushkil bāñdhā
ġhair agar sāzisheñ karte to koī baat bhī thī
morcha apnoñ ne apnoñ ke muqābil bāñdhā
qadam-e-qāfila-e-umr haiñ sāñseñ kyā haiñ
be-irāda bhī milā har koī mahmil bāñdhā
ḳhūn-e-maqtūl meñ kyā shān-e-ravādārī thī
chashm-e-insāf ne qātil ko na qātil bāñdhā
zindagī 'shauq' hamārī bhī ajab guzrī hai
dil uThāyā na zamāne se kabhī dil bāñdhā
dil to phulon se ba-tahrik-e-gham-e-dil bandha
hum ne gulshan se magar KHud ko ba-mushkil bandha
waqt-o-haalat ne mahaul ajab mil bandha
qatl-gahon ne saman surat-e-mahfil bandha
bandhte kya the talluq ke ye rishte hum ko
jabr-e-fitrat hai ki be-tauq-o-salasil bandha
kaun pahuncha hai sar-e-manzil-e-hasti ab tak
jo jahan rah gaya thak kar use manzil bandha
tum se roka na gaya hath kisi qatil ka
jab bhi bandha hai faqat bazu-e-bismil bandha
aazmana tha mere zauq-e-nazar ko shayad
har jagah us ne naya parda-e-hail bandha
hum ne jab se teri rahon mein qadam rakha hai
kisi manzil ka tasawwur bhi ba-mushkil bandha
ghair agar sazishen karte to koi baat bhi thi
morcha apnon ne apnon ke muqabil bandha
qadam-e-qafila-e-umr hain sansen kya hain
be-irada bhi mila har koi mahmil bandha
KHun-e-maqtul mein kya shan-e-rawadari thi
chashm-e-insaf ne qatil ko na qatil bandha
zindagi 'shauq' hamari bhi ajab guzri hai
dil uThaya na zamane se kabhi dil bandha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.