dil tujhe jo diya nahin hota
dil tujhe jo diyā nahīñ hotā
aaj TuuTā huā nahīñ hotā
dauḌte mat raho sadā pīchhe
chāhatoñ kā sirā nahīñ hotā
saath tere hī bas dhaḌaktā hai
dil kabhī ye mirā nahīñ hotā
vo to ġham meñ bhī saath rahtā hai
dost sachchā judā nahīñ hotā
un ġharīboñ kā diin mat pūchho
bhuuk kā to ḳhudā nahīñ hotā
choT apnī na sab ko dikhlāo
haath sab kā davā nahīñ hotā
'sarv' ye zindagī thī be-ma.anī
tū mujhe gar milā nahīñ hotā
dil tujhe jo diya nahin hota
aaj TuTa hua nahin hota
dauDte mat raho sada pichhe
chahaton ka sira nahin hota
sath tere hi bas dhaDakta hai
dil kabhi ye mera nahin hota
wo to gham mein bhi sath rahta hai
dost sachcha juda nahin hota
un gharibon ka din mat puchho
bhuk ka to KHuda nahin hota
choT apni na sab ko dikhlao
hath sab ka dawa nahin hota
'sarw' ye zindagi thi be-mani
tu mujhe gar mila nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.