dil udas hota hai is qadar akele mein
dil udaas hotā hai is qadar akele meñ
niiñd bhī nahīñ aatī raat bhar akele meñ
naam lab pe aate hī dil dhaḌakne lagtā hai
mil ga.e to kyā hogā vo agar akele meñ
rut hasīn thī lekin aap jo nahīñ aa.e
kyā batā.eñ ham guzrī kis qadar akele meñ
raat mere āñgan meñ aa ke jab bikhartī hai
suunā suunā lagtā hai aur ghar akele meñ
ham kabhī añdhere ke ḳhauf se nahīñ Darte
chāñdnī agar hotī ham-safar akele meñ
jānte haiñ tanhā.ī ham ko raas aa.egī
lamha lamha lagtā hai phir bhī Dar akele meñ
gaañv raat meñ 'nāzim' saa.eñ saa.eñ kartā hai
kaun ghar se niklegā jaan kar akele meñ
dil udas hota hai is qadar akele mein
nind bhi nahin aati raat bhar akele mein
nam lab pe aate hi dil dhaDakne lagta hai
mil gae to kya hoga wo agar akele mein
rut hasin thi lekin aap jo nahin aae
kya bataen hum guzri kis qadar akele mein
raat mere aangan mein aa ke jab bikharti hai
suna suna lagta hai aur ghar akele mein
hum kabhi andhere ke KHauf se nahin Darte
chandni agar hoti ham-safar akele mein
jaante hain tanhai hum ko ras aaegi
lamha lamha lagta hai phir bhi Dar akele mein
ganw raat mein 'nazim' saen saen karta hai
kaun ghar se niklega jaan kar akele mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.