dil umangon se jo Khaali ho to be-dil kahiye
dil umangoñ se jo ḳhālī ho to be-dil kahiye
phir kise naaqa samajhiye kise mahmil kahiye
ab koī yaar na dildār na dushman na harīf
zindagī is ko tirī kaun sī manzil kahiye
aaj har gaam pe maqtal kā gumāñ hotā hai
kise qātil to kise kūcha-e-qātil kahiye
zindagī maut se kuchh kam to nahīñ hai dushvār
kise āsān samjhiye kise mushkil kahiye
saarī bīmārī o sehhat kā usī par hai madār
jism kā chhoTā sā TukḌā ki jise dil kahiye
saarī qurbāniyāñ ab tak kī to bātil Thahrīñ
kyā bachā phir ki jise ziist kā hāsil kahiye
dil hī vīrān ho 'az.har' to kahāñ phir raunaq
raas aa saktī hai phir kaun sī mahfil kahiye
dil umangon se jo KHali ho to be-dil kahiye
phir kise naqa samajhiye kise mahmil kahiye
ab koi yar na dildar na dushman na harif
zindagi is ko teri kaun si manzil kahiye
aaj har gam pe maqtal ka guman hota hai
kise qatil to kise kucha-e-qatil kahiye
zindagi maut se kuchh kam to nahin hai dushwar
kise aasan samjhiye kise mushkil kahiye
sari bimari o sehhat ka usi par hai madar
jism ka chhoTa sa TukDa ki jise dil kahiye
sari qurbaniyan ab tak ki to baatil Thahrin
kya bacha phir ki jise zist ka hasil kahiye
dil hi viran ho 'azhar' to kahan phir raunaq
ras aa sakti hai phir kaun si mahfil kahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.