dil us bewafa se mila chahta hai
dil us bevafā se milā chāhtā hai
mujhe bhī ye rusvā kiyā chāhtā hai
vo duzd-e-hinā ḳhūñ-bahā chāhtā hai
hamārā bhī ab ḳhuuñ bahā chāhtā hai
tamāshā kar ai gul mire dāġh-e-dil kā
agar sair-e-gulshan kiyā chāhtā hai
ye sargoshiyāñ kab haiñ illat se ḳhālī
adū kaan meñ kuchh bharā chāhtā hai
ḳhudā.ī meñ kyā daḳhl hai in butoñ ko
jo kuchh chāhtā hai ḳhudā chāhtā hai
lagā kar lahū apne dāman meñ gul bhī
shahīdoñ meñ tere milā chāhtā hai
ayādat ko aatā hai bālīñ pe mere
vo qātil masīhā banā chāhtā hai
tahayya kiyā kārvāñ ne adam kā
jaras koī dam meñ bajā chāhtā hai
zarā gosh-e-dil se suno haal us kā
'fidā' aap se kuchh kahā chāhtā hai
dil us bewafa se mila chahta hai
mujhe bhi ye ruswa kiya chahta hai
wo duzd-e-hina KHun-baha chahta hai
hamara bhi ab KHun baha chahta hai
tamasha kar ai gul mere dagh-e-dil ka
agar sair-e-gulshan kiya chahta hai
ye sargoshiyan kab hain illat se KHali
adu kan mein kuchh bhara chahta hai
KHudai mein kya daKHl hai in buton ko
jo kuchh chahta hai KHuda chahta hai
laga kar lahu apne daman mein gul bhi
shahidon mein tere mila chahta hai
ayaadat ko aata hai baalin pe mere
wo qatil masiha bana chahta hai
tahayya kiya karwan ne adam ka
jaras koi dam mein baja chahta hai
zara gosh-e-dil se suno haal us ka
'fida' aap se kuchh kaha chahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.