dil wo dil jo bane KHazana-e-ishq
dil vo dil jo bane ḳhazāna-e-ishq
lab vo lab jis pe ho fasāna-e-ishq
dard-angez hai tarāna-e-ishq
kyā junūñ-ḳhez hai fasāna-e-ishq
aah be-sāḳhta nikal aa.ī
yaad aaya jahāñ zamāna-e-ishq
nazar aaya jahāñ vo naqsh-e-qadam
jhuk ga.e paḌh liyā dogāna-e-ishq
zulf-e-ḳhūbāñ sañvārne ke liye
allah allāh banā hai shāna-e-ishq
husn kī zulf bikhrī hī rahtī
nahīñ bantā kahīñ jo shāna-e-ishq
bahr-e-tambīh-e-āshiq-e-be-ḳhud
yād-e-gesū hai tāziyāna-e-ishq
ai papīhā tujhe hai kis kī dhun
tere lab par hai kyoñ tarāna-e-ishq
tiir vo tiir jis ko vo pheñkeñ
dil vo dil jo bane nishāna-e-ishq
tum ġhazal meñ likhā karo 'muztar'
qissa-e-husn yā fasāna-e-ishq
dil wo dil jo bane KHazana-e-ishq
lab wo lab jis pe ho fasana-e-ishq
dard-angez hai tarana-e-ishq
kya junun-KHez hai fasana-e-ishq
aah be-saKHta nikal aai
yaad aaya jahan zamana-e-ishq
nazar aaya jahan wo naqsh-e-qadam
jhuk gae paDh liya dogana-e-ishq
zulf-e-KHuban sanwarne ke liye
allah allah bana hai shana-e-ishq
husn ki zulf bikhri hi rahti
nahin banta kahin jo shana-e-ishq
bahr-e-tambih-e-ashiq-e-be-KHud
yaad-e-gesu hai taziyana-e-ishq
ai papiha tujhe hai kis ki dhun
tere lab par hai kyon tarana-e-ishq
tir wo tir jis ko wo phenken
dil wo dil jo bane nishana-e-ishq
tum ghazal mein likha karo 'muztar'
qissa-e-husn ya fasana-e-ishq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.