dil yaad karke usko pareshan hai abhi
dil yaad karke us ko pareshān hai abhī
lekin vo mere haal se anjān hai abhī
ruḳhsat vo jaane kab kā mire ghar se ho gayā
maiñ dekhtā huuñ dil meñ vo mehmān hai abhī
maiñ chādar-e-sukūn bhalā kaise oḌh luuñ
jab hādsoñ kā shahr meñ imkān hai abhī
chhoḌeñge ham na rāh-e-vafā-o-ḳhulūs ko
dekho hamāre haath meñ qur.ān hai abhī
zulm-o-sitam vo had se sivā kar sakegā kyā
har ik ġharīb be-sar-o-sāmān hai abhī
ik ek qatra apne lahū kā bahā.ūñgā
tū aazmā le tan meñ mire jaan hai abhī
buniyād tujh se zulm-o-sitam kī paḌī magar
mehr-o-vafā se 'dāġh' tū anjān hai abhī
dil yaad karke us ko pareshan hai abhi
lekin wo mere haal se anjaan hai abhi
ruKHsat wo jaane kab ka mere ghar se ho gaya
main dekhta hun dil mein wo mehman hai abhi
main chadar-e-sukun bhala kaise oDh lun
jab hadson ka shahr mein imkan hai abhi
chhoDenge hum na rah-e-wafa-o-KHulus ko
dekho hamare hath mein quran hai abhi
zulm-o-sitam wo had se siwa kar sakega kya
har ek gharib be-sar-o-saman hai abhi
ek ek qatra apne lahu ka bahaunga
tu aazma le tan mein mere jaan hai abhi
buniyaad tujh se zulm-o-sitam ki paDi magar
mehr-o-wafa se 'dagh' tu anjaan hai abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.