dil ye KHamosh tha hum zaban mil gae
dil ye ḳhāmosh thā ham zabāñ mil ga.e
sab kahāñ se chale the kahāñ mil ga.e
jo itā.at-pazīrī huī zābta
phuul sahrā ke bhī darmiyāñ mil ga.e
naqs ġhairoñ ke jin kī mazammat thī kī
vo to mere hī andar nihāñ mil ga.e
sar jhukāyā hī thā inkisārī meñ jo
mujh ko qadmoñ ke tere nishāñ mil ga.e
ik bashar na milā jo chale saath meñ
phir jo milne lage kārvāñ mil ga.e
pyaas aisī ki pyāsī kī pyāsī rahī
is zamīñ ko bahut āsmāñ mil ga.e
sab ayaañ ho gayā jo kahā bhī na thā
mujh ko aise bhī kuchh rāz-dāñ mil ga.e
rū-ba-rū jab vo bichhḌe to ġhamgīn the
ḳhvāb meñ jo mile shādmāñ mil ga.e
ātish-e-hijr meñ dil sulagtā rahā
ruḳh pe kitne hī dariyā ravāñ mil ga.e
dil ye KHamosh tha hum zaban mil gae
sab kahan se chale the kahan mil gae
jo itaat-paziri hui zabta
phul sahra ke bhi darmiyan mil gae
naqs ghairon ke jin ki mazammat thi ki
wo to mere hi andar nihan mil gae
sar jhukaya hi tha inkisari mein jo
mujh ko qadmon ke tere nishan mil gae
ek bashar na mila jo chale sath mein
phir jo milne lage karwan mil gae
pyas aisi ki pyasi ki pyasi rahi
is zamin ko bahut aasman mil gae
sab ayan ho gaya jo kaha bhi na tha
mujh ko aise bhi kuchh raaz-dan mil gae
ru-ba-ru jab wo bichhDe to ghamgin the
KHwab mein jo mile shadman mil gae
aatish-e-hijr mein dil sulagta raha
ruKH pe kitne hi dariya rawan mil gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.