dilbar nahin habib nahin pasban nahin
dilbar nahīñ habīb nahīñ pāsbāñ nahīñ
maiñ vo zamīñ huuñ jis kā koī āsmāñ nahīñ
jo dard de na jaa.e vo āh-o-fuġhāñ nahīñ
jo le na jaa.e naama vo nāma-rasāñ nahīñ
muddat se huuñ paḌā huā tarkash kī qaid meñ
maiñ tiir huuñ mire liye koī kamāñ nahīñ
us kī samajh meñ aa ga.e hālāt ke nuqūsh
vo bad-gumāñ to thā magar ab bad-gumāñ nahīñ
vo muskurā ke chaḌh gayā neze kī nok par
vo shādmāñ thā phir bhī sitam shādmāñ nahīñ
is darja hai lihāz ki khultī zabāñ nahīñ
ham kyā batā.eñ dard kahāñ hai kahāñ nahīñ
bosa bhī duuñ to kis pe duuñ ai jān-e-jāñ batā
sahrā meñ tere paañv kā koī nishāñ nahīñ
lab tere pankhuḌī tire ruḳhsār haiñ gulāb
ham samjhe is zamīñ pe koī gulsitāñ nahīñ
maiñ tere sāmne huuñ tū hai mere sāmne
ab to koī lakīr yahāñ darmiyāñ nahīñ
kahnā ho jab sharāb use to kahe sarāb
ab mai-kade kā saaqī bhī ahl-e-zabāñ nahīñ
dilbar nahin habib nahin pasban nahin
main wo zamin hun jis ka koi aasman nahin
jo dard de na jae wo aah-o-fughan nahin
jo le na jae nama wo nama-rasan nahin
muddat se hun paDa hua tarkash ki qaid mein
main tir hun mere liye koi kaman nahin
us ki samajh mein aa gae haalat ke nuqush
wo bad-guman to tha magar ab bad-guman nahin
wo muskura ke chaDh gaya neze ki nok par
wo shadman tha phir bhi sitam shadman nahin
is darja hai lihaz ki khulti zaban nahin
hum kya bataen dard kahan hai kahan nahin
bosa bhi dun to kis pe dun ai jaan-e-jaan bata
sahra mein tere panw ka koi nishan nahin
lab tere pankhuDi tere ruKHsar hain gulab
hum samjhe is zamin pe koi gulsitan nahin
main tere samne hun tu hai mere samne
ab to koi lakir yahan darmiyan nahin
kahna ho jab sharab use to kahe sarab
ab mai-kade ka saqi bhi ahl-e-zaban nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.