dilbar ye wo hai jis ne dil ko dagha diya hai
dilbar ye wo hai jis ne dil ko dagha diya hai
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
MORE BYAbdul Rahman Ehsan Dehlvi
dilbar ye vo hai jis ne dil ko daġhā diyā hai
ai chashm dekh tujh ko maiñ ne sujhā diyā hai
teġh-e-sitam se merā jo ḳhūñ-bahā diyā hai
qātil ne mere dil kā ye ḳhūñ-bahā diyā hai
naqsh qadam galī kā terī banā diyā hai
kyuuñ kar uThūñ ki dil ne mujh ko biThā diyā hai
ai chashm gar ye zā hai rone ko tere zahmat
ro ro ke abr ko bhī tū ne rulā diyā hai
sar-rishta-e-vafā se kyā sham'-rū haiñ vāqif
ham ne patang un se milnā uḌā diyā hai
dil de ke jaan kā muft ik rog hī ḳharīdā
daulat se terī maiñ ne ye kuchh liyā diyā hai
jaate nazar jidhar hī ik nuur jalva-gar hai
mukhḌe se aaj parda kisī ne uThā diyā hai
tū paan khā ke hañsnā ik sahl sā hai samjhā
ye barq vo hai jis ne 'ālam jalā diyā hai
kyuuñ ham se ho bigaḌte ham ne to shaiḳh sāhab
holī se peshtar hī tum ko banā diyā hai
kyuuñ kar na mere dil kā shīsha ho TukḌe TukḌe
nazroñ se is ko zālim tū ne girā diyā hai
paañv se kyā jagāyā tū ne hī mujh ko goyā
Thokar se baḳht-e-ḳhufta merā jagā diyā hai
kyā jānūñ 'ishq kyā hai lekin kisī ne 'ehsāñ'
ik aag kā sā sho'la dil ko lagā diyā hai
dilbar ye wo hai jis ne dil ko dagha diya hai
ai chashm dekh tujh ko main ne sujha diya hai
tegh-e-sitam se mera jo KHun-baha diya hai
qatil ne mere dil ka ye KHun-baha diya hai
naqsh qadam gali ka teri bana diya hai
kyun kar uThun ki dil ne mujh ko biTha diya hai
ai chashm gar ye za hai rone ko tere zahmat
ro ro ke abr ko bhi tu ne rula diya hai
sar-rishta-e-wafa se kya sham'-ru hain waqif
hum ne patang un se milna uDa diya hai
dil de ke jaan ka muft ek rog hi KHarida
daulat se teri main ne ye kuchh liya diya hai
jate nazar jidhar hi ek nur jalwa-gar hai
mukhDe se aaj parda kisi ne uTha diya hai
tu pan kha ke hansna ek sahl sa hai samjha
ye barq wo hai jis ne 'alam jala diya hai
kyun hum se ho bigaDte hum ne to shaiKH sahab
holi se peshtar hi tum ko bana diya hai
kyun kar na mere dil ka shisha ho TukDe TukDe
nazron se is ko zalim tu ne gira diya hai
panw se kya jagaya tu ne hi mujh ko goya
Thokar se baKHt-e-KHufta mera jaga diya hai
kya jaanun 'ishq kya hai lekin kisi ne 'ehsan'
ek aag ka sa sho'la dil ko laga diya hai
- Kulliyat-e-Ehsan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.