dili chingariyon se jab koi shoala jawan hoga
dilī chingāriyoñ se jab koī sho.ala javāñ hogā
ḳhamoshī chīḳh uTThegī aur insāñ be-zabāñ hogā
kabhī tum bhī to dīvār-e-anā ko toḌ kar dekho
mohabbat ke sivā kuchh bhī na apne darmiyāñ hogā
mizāj-e-vaqt meñ yaksāniyat dekhī kabhī tum ne
ḳhafā hai aaj jis par kal usī par mehrbāñ hogā
koī hogā mafād us kā yaqīnan tum se vābasta
amīr-e-shahr kyā yuuñ hī kisī par mehrbāñ hogā
hamāre qāfile kī gar yahī hālat rahī to kal
na gard-e-kārvāñ hogī na shor-kārvāñ hogā
'nisār' apne suḳhan meñ tajraba hai zindagānī kā
hamāre dard kā ehsās lahje se bayāñ hogā
dili chingariyon se jab koi shoala jawan hoga
KHamoshi chiKH uTThegi aur insan be-zaban hoga
kabhi tum bhi to diwar-e-ana ko toD kar dekho
mohabbat ke siwa kuchh bhi na apne darmiyan hoga
mizaj-e-waqt mein yaksaniyat dekhi kabhi tum ne
KHafa hai aaj jis par kal usi par mehrban hoga
koi hoga mafad us ka yaqinan tum se wabasta
amir-e-shahr kya yun hi kisi par mehrban hoga
hamare qafile ki gar yahi haalat rahi to kal
na gard-e-karwan hogi na shor-karwan hoga
'nisar' apne suKHan mein tajraba hai zindagani ka
hamare dard ka ehsas lahje se bayan hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.