dilkash hai masafat ka maza rah-e-thakan mein
dilkash hai masāfat kā maza rāh-e-thakan meñ
ik ḳhushbū-e-jannat hai mirī ḳhāk-e-vatan meñ
yā farhat-e-fan kī hai koī achchhī alāmat
yā dard-e-tamannā hai mire rang-e-suḳhan meñ
sunñe ko mayassar nahīñ yaañ koī bhī naġhma
kahne ko to bulbul bhī nahīñ mere chaman meñ
ye dil kī masarrat hai ki nazroñ kā taqāzā
tāroñ kī ravish aa.ī hai phūloñ kī phaban meñ
maiñ qatra-e-gauhar huuñ jo āñkhoñ se hai Tapkā
tū shabnamī resham hai jo chhalkā hai saman meñ
chal maqtal-e-ulfat ke muqaddar se barī hoñ
chal palte haiñ ham mil ke rah-e-dār-o-rasan meñ
tum bharte ho dam apnī saḳhāvat meñ uchhal kar
tum ko ho ḳhabar kyā ki maza kyā hai ghuTan meñ
ik barg-e-tamanna thī so jal uTThī hai 'kāvish'
ik vāda-e-dil thā so nazar aaya shikan meñ
dilkash hai masafat ka maza rah-e-thakan mein
ek KHushbu-e-jannat hai meri KHak-e-watan mein
ya farhat-e-fan ki hai koi achchhi alamat
ya dard-e-tamanna hai mere rang-e-suKHan mein
sunne ko mayassar nahin yan koi bhi naghma
kahne ko to bulbul bhi nahin mere chaman mein
ye dil ki masarrat hai ki nazron ka taqaza
taron ki rawish aai hai phulon ki phaban mein
main qatra-e-gauhar hun jo aankhon se hai Tapka
tu shabnami resham hai jo chhalka hai saman mein
chal maqtal-e-ulfat ke muqaddar se bari hon
chal palte hain hum mil ke rah-e-dar-o-rasan mein
tum bharte ho dam apni saKHawat mein uchhal kar
tum ko ho KHabar kya ki maza kya hai ghuTan mein
ek barg-e-tamanna thi so jal uTThi hai 'kawish'
ek wada-e-dil tha so nazar aaya shikan mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.