dilkash hain ye kitne patthar
dilkash haiñ ye kitne patthar
be-jāñ lekin saare patthar
kitnī behis bastī hai ye
insāñ bhī haiñ jaise patthar
pūchho un par kyā guzrī hai
sab kuchh sach boleñge patthar
in meñ bhī kuchh dil rakhte haiñ
patthar kab haiñ saare patthar
jis raste se guzre ho tum
mahke us raste ke patthar
ham ne dekhe haiñ ulfat meñ
hañsne rone vaale patthar
'sāhil' koī to ye samjhe
haiñ nāzuk shīshoñ se patthar
dilkash hain ye kitne patthar
be-jaan lekin sare patthar
kitni behis basti hai ye
insan bhi hain jaise patthar
puchho un par kya guzri hai
sab kuchh sach bolenge patthar
in mein bhi kuchh dil rakhte hain
patthar kab hain sare patthar
jis raste se guzre ho tum
mahke us raste ke patthar
hum ne dekhe hain ulfat mein
hansne rone wale patthar
'sahil' koi to ye samjhe
hain nazuk shishon se patthar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.