dilon ke beach badan ki fasil uTha di jae
diloñ ke beach badan kī fasīl uThā dī jaa.e
simaT rahī hai masāfat zarā baḌhā dī jaa.e
hamārī samt kabhī zahmat-e-safar to karo
tumhārī raah meñ bhī kahkashāñ bichhā dī jaa.e
banī to hogī kahīñ sarhad-e-garāñ-goshī
tumhīñ batāo kahāñ se tumheñ sadā dī jaa.e
kisī ke kaam to aa.e ḳhulūs kī ḳhushbū
mizāj meñ na sahī jism meñ basā dī jaa.e
ye sochte nahīñ kyuuñ fāsle tavīl hue
ye pūchhte haiñ ki raftār kyuuñ baḌhā dī jaa.e
ye mahviyat na kahīñ tujh se pher de sab ko
tirī taraf se tavajjoh zarā haTā dī jaa.e
takallufāt kī pur-pech vādiyāñ kab tak
ba-rāh-e-rāst unheñ dāvat-e-vafā dī jaa.e
sunī haiñ ham ne bahut tīrgī pe taqrīreñ
mile na lafz agar raushnī bujhā dī jaa.e
guzarne vaalī havā ḳhud pata lagā legī
zarā sī aag kisī raakh meñ dabā dī jaa.e
dilon ke beach badan ki fasil uTha di jae
simaT rahi hai masafat zara baDha di jae
hamari samt kabhi zahmat-e-safar to karo
tumhaari rah mein bhi kahkashan bichha di jae
bani to hogi kahin sarhad-e-garan-goshi
tumhin batao kahan se tumhein sada di jae
kisi ke kaam to aae KHulus ki KHushbu
mizaj mein na sahi jism mein basa di jae
ye sochte nahin kyun fasle tawil hue
ye puchhte hain ki raftar kyun baDha di jae
ye mahwiyat na kahin tujh se pher de sab ko
teri taraf se tawajjoh zara haTa di jae
takallufat ki pur-pech wadiyan kab tak
ba-rah-e-rast unhen dawat-e-wafa di jae
suni hain hum ne bahut tirgi pe taqriren
mile na lafz agar raushni bujha di jae
guzarne wali hawa KHud pata laga legi
zara si aag kisi rakh mein daba di jae
- Book : Kalam-e-aizaz afzal (Pg. 194)
- Author : Aizaz Afzal
- Publication : Usmania Book Depot
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.