dilon ke darmiyan be-baat fitna Dal dete hain
dilon ke darmiyan be-baat fitna Dal dete hain
Mohammad Ishtiyaaq Aalam
MORE BYMohammad Ishtiyaaq Aalam
diloñ ke darmiyāñ be-bāt fitna Daal dete haiñ
ye kaise log haiñ apnoñ meñ jhagḌā Daal dete haiñ
tumheñ kuchh bhuuk kā ehsās insāñ kī nahīñ lekin
parindoñ ke liye ham chhat pe daana Daal dete haiñ
maiñ us dhartī kā vaasī huuñ jahāñ chele qalam kar ke
gurū ke charnoñ meñ apnā añgūThā Daal dete haiñ
yaqīnan lutf hai koī to sāvan ke mahīne meñ
ḳhabar sāvan kī sun kar log jhūlā Daal dete haiñ
chaTTāneñ kaaT kar vo rāsta kaise banā.eñge
jo thak kar raah meñ hāthoñ se tesha Daal dete haiñ
kisī kī bad-nazar ke vo asar meñ aa nahīñ sakte
jo apne ghar ke darvāze pe parda Daal dete haiñ
unheñ 'ālam' kisī sūrat meñ manzil mil nahīñ saktī
faqat do gaam chal kar hī jo Derā Daal dete haiñ
dilon ke darmiyan be-baat fitna Dal dete hain
ye kaise log hain apnon mein jhagDa Dal dete hain
tumhein kuchh bhuk ka ehsas insan ki nahin lekin
parindon ke liye hum chhat pe dana Dal dete hain
main us dharti ka wasi hun jahan chele qalam kar ke
guru ke charnon mein apna anguTha Dal dete hain
yaqinan lutf hai koi to sawan ke mahine mein
KHabar sawan ki sun kar log jhula Dal dete hain
chaTTanen kaT kar wo rasta kaise banaenge
jo thak kar rah mein hathon se tesha Dal dete hain
kisi ki bad-nazar ke wo asar mein aa nahin sakte
jo apne ghar ke darwaze pe parda Dal dete hain
unhen 'alam' kisi surat mein manzil mil nahin sakti
faqat do gam chal kar hi jo Dera Dal dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.