dilon ke raaz sipurd-e-hawa nahin karte
diloñ ke raaz sipurd-e-havā nahīñ karte
ham ahl-e-dil haiñ tamāshā bapā nahīñ karte
kabhī guloñ kī vo ḳhvāhish kiyā nahīñ karte
jinheñ aziiz haiñ kāñTe gila nahīñ karte
hamāre naam se zinda hai sunnat-e-farhād
ham apne chāk-e-garebāñ siyā nahīñ karte
diloñ meñ aa.e kahāñ se yaqīn kī tāsīr
duā to karte haiñ dil se duā nahīñ karte
ye ishq-vishq kā chakkar faqat himāqat hai
zahīn log himāqat kiyā nahīñ karte
hamāre tiir ko tukkā kabhī nahīñ kahnā
hamāre tiir nishāne ḳhatā nahīñ karte
ye phuul un pe chaḌhāte ho kis liye logo
shahīd zinda haiñ un kā azā nahīñ karte
vo ḳhush-nasīb haiñ rab ne jinheñ navāzā hai
ḳhudā kā shukr magar vo adā nahīñ karte
diloñ ke daaġh se raushan hai ālam-e-hastī
diloñ ke daaġh kabhī bhī chhupā nahīñ karte
jahāñ meñ un ko milegī na manzil-e-maqsūd
jo rasm-o-rāh-e-mohabbat adā nahīñ karte
'suhaib' DhūñDiye shāyad ki raah nikle koī
faqīh-e-shahr to sab se milā nahīñ karte
dilon ke raaz sipurd-e-hawa nahin karte
hum ahl-e-dil hain tamasha bapa nahin karte
kabhi gulon ki wo KHwahish kiya nahin karte
jinhen aziz hain kanTe gila nahin karte
hamare nam se zinda hai sunnat-e-farhad
hum apne chaak-e-gareban siya nahin karte
dilon mein aae kahan se yaqin ki tasir
dua to karte hain dil se dua nahin karte
ye ishq-wishq ka chakkar faqat himaqat hai
zahin log himaqat kiya nahin karte
hamare tir ko tukka kabhi nahin kahna
hamare tir nishane KHata nahin karte
ye phul un pe chaDhate ho kis liye logo
shahid zinda hain un ka aza nahin karte
wo KHush-nasib hain rab ne jinhen nawaza hai
KHuda ka shukr magar wo ada nahin karte
dilon ke dagh se raushan hai aalam-e-hasti
dilon ke dagh kabhi bhi chhupa nahin karte
jahan mein un ko milegi na manzil-e-maqsud
jo rasm-o-rah-e-mohabbat ada nahin karte
'suhaib' DhunDiye shayad ki rah nikle koi
faqih-e-shahr to sab se mila nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.