dilon ki pesh koi wardat karne lagun
diloñ kī pesh koī vārdāt karne lagūñ
maiñ ghaat rāz-e-darūñ hī ke saath karne lagūñ
mujhe to itnā salīqa abhī nahīñ aayā
ki tum se apne buzurgoñ se baat karne lagūñ
dinoñ kī dhuup Dhale shaam ho maiñ ghar aa.uuñ
tumhārī zulf ke saa.e meñ raat karne lagūñ
rah-e-vafā kā taqāza hai be-sar-o-sāmāñ
'ubūr josh meñ dajla furāt karne lagūñ
maiñ apne she'r ke kuuze meñ sirf aañsū kyā
karūñ jo jam' tirī kā.enāt karne lagūñ
yahī hai rabt-e-mohabbat kī yaar bebākī
ġhazal kī baat karūñ tujh se baat karne lagūñ
jidhar bhī dekhūñ faqat tū hī tū nazar aa.e
tirī taraf hī agar iltifāt karne lagūñ
kafan-farosh kī ḳhushiyoñ ke vāste 'misdāq'
maiñ apnī maut se pahle vafāt karne lagūñ
dilon ki pesh koi wardat karne lagun
main ghat raaz-e-darun hi ke sath karne lagun
mujhe to itna saliqa abhi nahin aaya
ki tum se apne buzurgon se baat karne lagun
dinon ki dhup Dhale sham ho main ghar aaun
tumhaari zulf ke sae mein raat karne lagun
rah-e-wafa ka taqaza hai be-sar-o-saman
'ubur josh mein dajla furaat karne lagun
main apne she'r ke kuze mein sirf aansu kya
karun jo jam' teri kaenat karne lagun
yahi hai rabt-e-mohabbat ki yar bebaki
ghazal ki baat karun tujh se baat karne lagun
jidhar bhi dekhun faqat tu hi tu nazar aae
teri taraf hi agar iltifat karne lagun
kafan-farosh ki KHushiyon ke waste 'misdaq'
main apni maut se pahle wafat karne lagun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.