dilon ki tahrir aansuon se miTa chuke hain
diloñ kī tahrīr āñsuoñ se miTā chuke haiñ
hamāre paañv safar kī lazzat gañvā chuke haiñ
jadīd lahje kā ek shā.ir ġhazal-sarā hai
diye purāne mazār ke ham bujhā chuke haiñ
khañDar kā malba zamīñ pe kab kā bikhar chukā hai
amīr-zāde shanāḳht apnī miTā chuke haiñ
purāne album kā har varaq hai siyāh ab to
kisī kā chehra ham apne dil se haTā chuke haiñ
kisī ke mansab kisī kī daulat kā zikr mat kar
qasīda-ḳhvāni kī būḌhī rasmeñ uThā chuke haiñ
dilon ki tahrir aansuon se miTa chuke hain
hamare panw safar ki lazzat ganwa chuke hain
jadid lahje ka ek shair ghazal-sara hai
diye purane mazar ke hum bujha chuke hain
khanDar ka malba zamin pe kab ka bikhar chuka hai
amir-zade shanaKHt apni miTa chuke hain
purane album ka har waraq hai siyah ab to
kisi ka chehra hum apne dil se haTa chuke hain
kisi ke mansab kisi ki daulat ka zikr mat kar
qasida-KHwani ki buDhi rasmen uTha chuke hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.