dilon ki tarh ragon mein lahu dhaDakta hai
diloñ kī tarh ragoñ meñ lahū dhaḌaktā hai
ki aabla hai mohabbat kā jo tapaktā hai
rahe kahīñ bhī kahīñ duur mujh se tū chhup jaa.e
mire ḳhayāloñ meñ chehra tirā damaktā hai
ye jism-o-rūh kī gahrā.iyoñ meñ utregā
ye dard vo nahīñ āñkhoñ se jo chhalaktā hai
gunāhgār na ban dil mire ḳhudā ke liye
ḳhayāl-e-yār kā dāman koī jhaTaktā hai
siyāh ho ga.e sab sabz-o-tar mire din raat
vo chāñd chhat pe kisī aur kī chamaktā hai
tumhārā lutf-o-karam ham faqīr logoñ par
kisī ġharīb kī chhat kī tarah Tapaktā hai
dilon ki tarh ragon mein lahu dhaDakta hai
ki aabla hai mohabbat ka jo tapakta hai
rahe kahin bhi kahin dur mujh se tu chhup jae
mere KHayalon mein chehra tera damakta hai
ye jism-o-ruh ki gahraiyon mein utrega
ye dard wo nahin aankhon se jo chhalakta hai
gunahgar na ban dil mere KHuda ke liye
KHayal-e-yar ka daman koi jhaTakta hai
siyah ho gae sab sabz-o-tar mere din raat
wo chand chhat pe kisi aur ki chamakta hai
tumhaara lutf-o-karam hum faqir logon par
kisi gharib ki chhat ki tarah Tapakta hai
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 73)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.