dilon mein aag nahin aankh mein sharara nahin
dilon mein aag nahin aankh mein sharara nahin
Mushtaq Ahmad Mushtaq
MORE BYMushtaq Ahmad Mushtaq
diloñ meñ aag nahīñ aañkh meñ sharāra nahīñ
ye kaise log haiñ luTnā jinheñ gavāra nahīñ
ye kārobār-e-mohabbat hai luTne vāloñ kā
yahāñ pe kah diyā kis ne tujhe ḳhasāra nahīñ
jo hāl-e-dil hai min-o-an raqam kiyā jaa.e
ki ab zarūrat-e-tashbīh-o-isti.āra nahīñ
varaq varaq vahī rauñde hue mazāmīñ haiñ
ḳhayāl apne 'alāva kahīñ kuñvārā nahīñ
ḳhudī ke ruup meñ ham ne anā ko paalā hai
ḳhudī se varna ta'alluq koī hamārā nahīñ
ham apne vāste jiite haiñ ḳhud pe marte haiñ
hamāre saath kisī aur kā guzārā nahīñ
dilon mein aag nahin aankh mein sharara nahin
ye kaise log hain luTna jinhen gawara nahin
ye karobar-e-mohabbat hai luTne walon ka
yahan pe kah diya kis ne tujhe KHasara nahin
jo haal-e-dil hai min-o-an raqam kiya jae
ki ab zarurat-e-tashbih-o-istiara nahin
waraq waraq wahi raunde hue mazamin hain
KHayal apne 'alawa kahin kunwara nahin
KHudi ke rup mein hum ne ana ko pala hai
KHudi se warna ta'alluq koi hamara nahin
hum apne waste jite hain KHud pe marte hain
hamare sath kisi aur ka guzara nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.