Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dilon mein dard hi utna kashid rakkha hai

Yaqoob Tasawwur

dilon mein dard hi utna kashid rakkha hai

Yaqoob Tasawwur

MORE BYYaqoob Tasawwur

    diloñ meñ dard utnā kashīd rakkhā hai

    ki aañkh aañkh ne aañsū kashīd rakkhā hai

    qitāl zulm-o-tashaddud fasād aag dhuāñ

    hamāre shahr meñ ab kyā mazīd rakkhā hai

    na jis se hall-e-masā.il raah nikle koī

    usī naam to guft-o-shunīd rakkhā hai

    uḌī hai jab se parindoñ vāpsī ḳhabar

    har ek shaḳhs ne piñjra ḳharīd rakkhā hai

    batā rahe haiñ 'tasavvur' ye shahr ke hālāt

    kisī pusht pe dast-e-yazīd rakkhā hai

    dilon mein dard hi utna kashid rakkha hai

    ki aankh aankh ne aansu kashid rakkha hai

    qital zulm-o-tashaddud fasad aag dhuan

    hamare shahr mein ab kya mazid rakkha hai

    na jis se hall-e-masail ki rah nikle koi

    usi ka nam to guft-o-shunid rakkha hai

    uDi hai jab se parindon ki wapsi ki KHabar

    har ek shaKHs ne pinjra KHarid rakkha hai

    bata rahe hain 'tasawwur' ye shahr ke haalat

    kisi ki pusht pe dast-e-yazid rakkha hai

    Source :
    • Book : Seepiyon Ki Qaid men
    • Author : Yaqoob Tasawwur
    • Publication : Yaqoob Tasawwur
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now