dilon mein farq hai to guftugu se kuchh nahin hoga
diloñ meñ farq hai to guftugū se kuchh nahīñ hogā
chal uTh tishna-labī jām-o-subū se kuchh nahīñ hogā
na puurī ho sakī jo aarzū ab tak vo kahtī hai
jo puurī ho ga.ī us aarzū se kuchh nahīñ hogā
miyāñ jab itne saare dostoñ se kuchh nahīñ bigḌā
hameñ ma.alūm hai ab ik adū se kuchh nahīñ hogā
garebāñ ḳhārjiyyat aur vahshat dāḳhliyyat hai
lihāzā ḳhārjiyyat ke rafū se kuchh nahīñ hogā
tafannun ke liye nām-o-numū kī dauḌ meñ haiñ ham
hameñ ma.alūm hai nām-o-numū se kuchh nahīñ hogā
'shujā.a' tere hī tahat-al-lafz se kuchh ho to ho varna
ġhazal meñ shā.erān-e-ḳhush-gulū se kuchh nahīñ hogā
dilon mein farq hai to guftugu se kuchh nahin hoga
chal uTh tishna-labi jam-o-subu se kuchh nahin hoga
na puri ho saki jo aarzu ab tak wo kahti hai
jo puri ho gai us aarzu se kuchh nahin hoga
miyan jab itne sare doston se kuchh nahin bigDa
hamein malum hai ab ek adu se kuchh nahin hoga
gareban KHarjiyyat aur wahshat daKHliyyat hai
lihaza KHarjiyyat ke rafu se kuchh nahin hoga
tafannun ke liye nam-o-numu ki dauD mein hain hum
hamein malum hai nam-o-numu se kuchh nahin hoga
'shujaa' tere hi tahat-al-lafz se kuchh ho to ho warna
ghazal mein shaeran-e-KHush-gulu se kuchh nahin hoga
- Book : Allah Hu (Pg. 65)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.