dilon mein habs ka aalam purani aadaton se hai
Interesting Fact
April 1972
diloñ meñ habs kā 'ālam purānī ādatoñ se hai
laboñ par talḳhiyoñ kā zahr bigḌe zā.iqoñ se hai
jo ujḌā shahr ḳhvāboñ kā to apnī bhī uḌī hai gard
kisī sūkhe hue dariyā kī sūrat muddatoñ se hai
ye kaalī raat kā dariyā bahā kar le gayā sūraj
hirāsāñ sub.h ke sāhil pe dil tārīkiyoñ se hai
mahakte phuul bhī Dasne lage haiñ saañp kī sūrat
fazā bāġhoñ ke andar bhī diloñ ke mausamoñ se hai
unhīñ lamhoñ kī aahaT se milīñ bedāriyāñ mujh ko
mire dariyā kī jaulānī samay ke pāniyoñ se hai
vo aañch aane lagī ḳhud se ki dil Darne lagā apnā
jahannum ruuh kā bhaḌkā huā ḳhāmoshiyoñ se hai
khulīñ āñkheñ to sab kuchh nuur meñ Duubā huā paayā
mire sūraj kī tābānī nazar ke shobadoñ se hai
'nadīm' is raah meñ sadiyoñ kī dīvāreñ bhī haa.il haiñ
na.ī duniyā abhī tak oT meñ in zulmatoñ se hai
dilon mein habs ka 'alam purani aadaton se hai
labon par talKHiyon ka zahr bigDe zaiqon se hai
jo ujDa shahr KHwabon ka to apni bhi uDi hai gard
kisi sukhe hue dariya ki surat muddaton se hai
ye kali raat ka dariya baha kar le gaya suraj
hirasan subh ke sahil pe dil tarikiyon se hai
mahakte phul bhi Dasne lage hain sanp ki surat
faza baghon ke andar bhi dilon ke mausamon se hai
unhin lamhon ki aahaT se milin bedariyan mujh ko
mere dariya ki jaulani samay ke paniyon se hai
wo aanch aane lagi KHud se ki dil Darne laga apna
jahannum ruh ka bhaDka hua KHamoshiyon se hai
khulin aankhen to sab kuchh nur mein Duba hua paya
mere suraj ki tabani nazar ke shobadon se hai
'nadim' is rah mein sadiyon ki diwaren bhi hail hain
nai duniya abhi tak oT mein in zulmaton se hai
- Book : Shola-e-Khushboo (Pg. 109)
- Author : Salahuddin Nadeem
- Publication : Raheel Salahuddin (1984)
- Edition : 1984
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.