dilon mein phul khilte ja rahe hain
diloñ meñ phuul khilte jā rahe haiñ
mire qāsid bajā farmā rahe haiñ
hameñ to aur bhī ġham khā rahe haiñ
muqābil aap bhī dhamkā rahe haiñ
akele duur jā kar ro liye ham
akele ḳhud ko hī bahlā rahe haiñ
ab apnī zindagī se tang aakar
ham apnī maut par itrā rahe haiñ
hamārā jism hai ik qabr jaisā
bahut kuchh jis meñ ham dafnā rahe haiñ
koī apnā nahīñ hai yaar 'sohil'
ham apne aap se batlā rahe haiñ
dilon mein phul khilte ja rahe hain
mere qasid baja farma rahe hain
hamein to aur bhi gham kha rahe hain
muqabil aap bhi dhamka rahe hain
akele dur ja kar ro liye hum
akele KHud ko hi bahla rahe hain
ab apni zindagi se tang aakar
hum apni maut par itra rahe hain
hamara jism hai ek qabr jaisa
bahut kuchh jis mein hum dafna rahe hain
koi apna nahin hai yar 'sohil'
hum apne aap se batla rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.