dilon par bar hoti ja rahi hai
diloñ par baar hotī jā rahī hai
zabāñ talvār hotī jā rahī hai
Thahar jaa.e na nabz-e-dil mirī ab
vafā lāchār hotī jā rahī hai
zamīñ ke mas.aloñ kā hal talāsho
zamīñ āzār hotī jā rahī hai
jise dekho fareb-e-ārzū hai
adā makkār hotī jā rahī hai
huī badnām kitnī hai faqīrī
ye kārobār hotī jā rahī hai
fasāhat na balāġhat hai ġhazal meñ
ġhazal bīmār hotī jā rahī hai
dar-e-maqsūd tak jā.eñge kaise
musalsal haar hotī jā rahī hai
adab malhūz rakhnā hai 'shubham' jī
qalam meñ dhaar hotī jā rahī hai
dilon par bar hoti ja rahi hai
zaban talwar hoti ja rahi hai
Thahar jae na nabz-e-dil meri ab
wafa lachaar hoti ja rahi hai
zamin ke masalon ka hal talasho
zamin aazar hoti ja rahi hai
jise dekho fareb-e-arzu hai
ada makkar hoti ja rahi hai
hui badnam kitni hai faqiri
ye karobar hoti ja rahi hai
fasahat na balaghat hai ghazal mein
ghazal bimar hoti ja rahi hai
dar-e-maqsud tak jaenge kaise
musalsal haar hoti ja rahi hai
adab malhuz rakhna hai 'shubham' ji
qalam mein dhaar hoti ja rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.