dilon se KHauf nikala gaya tha bachpan mein
diloñ se ḳhauf nikālā gayā thā bachpan meñ
hameñ havā meñ uchhālā gayā thā bachpan meñ
maiñ is liye bhī samajhtā huuñ hijratoñ kā dukh
mujhe bhī ghar se nikālā gayā thā bachpan meñ
vo ab kisī se sañbhāle nahīñ sañbhaltā hai
jise ziyāda sañbhālā gayā thā bachpan meñ
ye sabr merī tabī'at meñ aise aayā hai
har ek baat pe Taalā gayā thā bachpan meñ
tumhāre baa'd mujhe titliyoñ se ḳhauf aayā
agarche shauq ye paalā gayā thā bachpan meñ
tamām 'umr mirī soch us meñ uljhī rahī
maiñ jis fareb meñ Daalā gayā thā bachpan meñ
usī se aaj mirā iḳhtilāf rahtā hai
maiñ jis kī tarz pe Dhālā gayā thā bachpan meñ
batā.ūñ kyā jo ta'alluq hai pattharoñ se mirā
unheñ bhī ghar meñ ubālā gayā thā bachpan meñ
dilon se KHauf nikala gaya tha bachpan mein
hamein hawa mein uchhaala gaya tha bachpan mein
main is liye bhi samajhta hun hijraton ka dukh
mujhe bhi ghar se nikala gaya tha bachpan mein
wo ab kisi se sanbhaale nahin sanbhalta hai
jise ziyaada sanbhaala gaya tha bachpan mein
ye sabr meri tabi'at mein aise aaya hai
har ek baat pe Tala gaya tha bachpan mein
tumhaare ba'd mujhe titliyon se KHauf aaya
agarche shauq ye pala gaya tha bachpan mein
tamam 'umr meri soch us mein uljhi rahi
main jis fareb mein Dala gaya tha bachpan mein
usi se aaj mera iKHtilaf rahta hai
main jis ki tarz pe Dhaala gaya tha bachpan mein
bataun kya jo ta'alluq hai pattharon se mera
unhen bhi ghar mein ubaala gaya tha bachpan mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.