dimagh Dubte mahtab sa lage hai mujhe
dimāġh Dūbte mahtāb sā lage hai mujhe
karūñ jo yaad to sab ḳhvāb sā lage hai mujhe
na jaane log chale jā rahe haiñ kis jānib
guzartā vaqt bhī sailāb sā lage hai mujhe
hare haiñ jab se mire dil meñ zaḳhm yādoñ ke
ye dasht aur bhī shādāb sā lage hai mujhe
nikal na aa.e kisī roz toḌ kar siina
ye dil bhī qatra-e-sīmāb sā lage hai mujhe
tamām 'umr luTāyā jahāñ lahū maiñ ne
vo shahr aaj bhī be-āb sā lage hai mujhe
dimagh Dubte mahtab sa lage hai mujhe
karun jo yaad to sab KHwab sa lage hai mujhe
na jaane log chale ja rahe hain kis jaanib
guzarta waqt bhi sailab sa lage hai mujhe
hare hain jab se mere dil mein zaKHm yaadon ke
ye dasht aur bhi shadab sa lage hai mujhe
nikal na aae kisi roz toD kar sina
ye dil bhi qatra-e-simab sa lage hai mujhe
tamam 'umr luTaya jahan lahu main ne
wo shahr aaj bhi be-ab sa lage hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.