dimagh ke kisi goshe se yaad taza kar
dimagh ke kisi goshe se yaad taza kar
Makhdoom Zada Mukhtar Usmani
MORE BYMakhdoom Zada Mukhtar Usmani
dimāġh ke kisī goshe se yaad taaza kar
faroġh-e-zulmat-e-shab hai zarā ujālā kar
nikal ke qulzum-e-hastī se dekh ā.īna
kabhī to apnī hijābātiyoñ meñ jhāñkā kar
har ek ḳhauf-e-hayāt-o-mamāt meñ gum hai
ai shab-nigāh tulū'-e-sahar ko ifshā kar
shikasta-pā.ī-e-qismat kā ronā dhonā kyā
barā.e-nām hī ai dost tānā-bānā kar
'ajab nahīñ ki tirā ḳhud se sāmnā ho jaa.e
jo is sadī kā taqāzā hai us ko puurā kar
har ik nazar hai yahāñ zarf-āzmā 'muḳhtār'
qadam uThāne se pahle qadam ko tolā kar
dimagh ke kisi goshe se yaad taza kar
farogh-e-zulmat-e-shab hai zara ujala kar
nikal ke qulzum-e-hasti se dekh aaina
kabhi to apni hijabaatiyon mein jhanka kar
har ek KHauf-e-hayat-o-mamat mein gum hai
ai shab-nigah tulu'-e-sahar ko ifsha kar
shikasta-pai-e-qismat ka rona dhona kya
barae-nam hi ai dost tana-bana kar
'ajab nahin ki tera KHud se samna ho jae
jo is sadi ka taqaza hai us ko pura kar
har ek nazar hai yahan zarf-azma 'muKHtar'
qadam uThane se pahle qadam ko tola kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.