din aaKHiri hai sal ka dil ki kitab dekh
din āḳhirī hai saal kā dil kī kitāb dekh
puurī huī haiñ ḳhvāhisheñ kitnī hisāb dekh
shāyad kisī ne toḌ diyā hai kisī kā dil
taptī saḌak pe bikhrā paḌā hai gulāb dekh
kyoñ chun rahā hai ḳhvāb-e-shikasta kī kirchiyāñ
ḳhvāboñ kī kyā kamī hai koī aur ḳhvāb dekh
be-chehragī ne toḌ diye saare aa.ine
nāzil huā hai ham pe ye kaisā 'azāb dekh
kamre meñ band ho ke na pī zahr-e-tīrgī
darvāza khol ghar se nikal āftāb dekh
maiñ dekhtā huuñ laatī hai kyā rang mai-kashī
tū sirf duur baiTh ke rang-e-sharāb dekh
din aaKHiri hai sal ka dil ki kitab dekh
puri hui hain KHwahishen kitni hisab dekh
shayad kisi ne toD diya hai kisi ka dil
tapti saDak pe bikhra paDa hai gulab dekh
kyon chun raha hai KHwab-e-shikasta ki kirchiyan
KHwabon ki kya kami hai koi aur KHwab dekh
be-chehragi ne toD diye sare aaine
nazil hua hai hum pe ye kaisa 'azab dekh
kamre mein band ho ke na pi zahr-e-tirgi
darwaza khol ghar se nikal aaftab dekh
main dekhta hun lati hai kya rang mai-kashi
tu sirf dur baiTh ke rang-e-sharab dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.