din bahut raat bahut subh bahut sham bahut
din bahut raat bahut sub.h bahut shaam bahut
aa.e har-vaqt mire hisse meñ ilzām bahut
apne kirdār se māyūs nahīñ hotā maiñ
kaam aa jaatā huuñ rahte hue nākām bahut
zahr-o-rusvā.ī kabhī hai to kabhī dār-o-salīb
paa.e ushshāq ne sach kahne ke in.aam bahut
is liye ho gayā mash.hūr zamāne bhar meñ
mere rishtoñ ne mujhe kar diyā badnām bahut
zulmat-e-ġham hī mire ghar kā muqaddar Thahrī
zaḳhm kī sham.a se raushan haiñ dar-o-bām bahut
din bahut raat bahut subh bahut sham bahut
aae har-waqt mere hisse mein ilzam bahut
apne kirdar se mayus nahin hota main
kaam aa jata hun rahte hue nakaam bahut
zahr-o-ruswai kabhi hai to kabhi dar-o-salib
pae ushshaq ne sach kahne ke inam bahut
is liye ho gaya mashhur zamane bhar mein
mere rishton ne mujhe kar diya badnam bahut
zulmat-e-gham hi mere ghar ka muqaddar Thahri
zaKHm ki shama se raushan hain dar-o-baam bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.