din bhale jaisa kaTe sanjh samay KHwab to dekh
din bhale jaisā kaTe sāñjh samay ḳhvāb to dekh
chhoḌ ta.abīr ke ḳhadshoñ ko are ḳhvāb to dekh
jhoñpaḌī meñ hī banā apne ḳhayāloñ kā mahal
go purānā hai bichhaunā to na.e ḳhvāb to dekh
terā har ḳhvāb masarrat kī bashārat laa.e
sach tire ḳhvāb hoñ allāh kare ḳhvāb to dekh
dil shikasta maiñ huā jab bhī mirā dil TuuTā
hausle aage baḌhe kahne lage ḳhvāb to dekh
tujhe vo baat bhī aa.egī samajh yaar mire
jo hai idrāk kī sarhad se pare ḳhvāb to dekh
gutthiyāñ saarī sulajh jaa.eñ ki hoñ aur sivā
tū zarā haath baḌhā thaam sire ḳhvāb to dekh
niiñd ke ḳhvāb tire ḳhauf ke ghar haiñ bhī to kyā
niiñd ko chhoḌ to jab sub.h uThe ḳhvāb to dekh
din bhale jaisa kaTe sanjh samay KHwab to dekh
chhoD tabir ke KHadshon ko are KHwab to dekh
jhonpaDi mein hi bana apne KHayalon ka mahal
go purana hai bichhauna to nae KHwab to dekh
tera har KHwab masarrat ki bashaarat lae
sach tere KHwab hon allah kare KHwab to dekh
dil shikasta main hua jab bhi mera dil TuTa
hausle aage baDhe kahne lage KHwab to dekh
tujhe wo baat bhi aaegi samajh yar mere
jo hai idrak ki sarhad se pare KHwab to dekh
gutthiyan sari sulajh jaen ki hon aur siwa
tu zara hath baDha tham sire KHwab to dekh
nind ke KHwab tere KHauf ke ghar hain bhi to kya
nind ko chhoD to jab subh uThe KHwab to dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.