Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

din-bhar dasht-nawardi kar ke KHud pe riqqat tari ki

Mohammad Mustahsan Jami

din-bhar dasht-nawardi kar ke KHud pe riqqat tari ki

Mohammad Mustahsan Jami

MORE BYMohammad Mustahsan Jami

    din-bhar dasht-navardī kar ke ḳhud pe riqqat taarī

    ham ne apne dushman se bhī jaan se baḌh kar yaarī

    us ne apne paas biThā kar ism-e-ḳhās vird kiyā

    ramz mujhe ma.alūm na thī is tārīkī bedārī

    miltī kab hai āsānī se dar-dar jaanā paḌtā hai

    sāñbh ke maiñ ne rakh hai ye sab daulat ḳhuddārī

    din-bhar ek faqīr ne tere vasl ḳhātir raqs kiyā

    shab-bhar tere dīvāne ne hijr meñ girya-zārī

    ġham ke musāfir-ḳhāne se ho kar be-zār zamāne se

    darveshoñ ne dasht meñ kar rahne tayārī

    siine se lagte ġham bojh utarne lagtā thā

    thī maujūd zamāne meñ ik rasm ki pursa-dārī

    sab dīvāne dekh ke mujh ko hairat se do-chār hue

    sar pe jab dastār sajā.ī vahshat sardārī

    jagah jagah pe ashk-fishānī saare kāġhaz giile haiñ

    bāteñ bilkul sach lagtī haiñ ik majbūr likhārī

    din-bhar dasht-nawardi kar ke KHud pe riqqat tari ki

    hum ne apne dushman se bhi jaan se baDh kar yari ki

    us ne apne pas biTha kar ism-e-KHas ka wird kiya

    ramz mujhe malum na thi is tariki bedari ki

    milti kab hai aasani se dar-dar jaana paDta hai

    sanbh ke main ne rakh li hai ye sab daulat KHuddari ki

    din-bhar ek faqir ne tere wasl ki KHatir raqs kiya

    shab-bhar tere diwane ne hijr mein girya-zari ki

    gham ke musafir-KHane se ho kar be-zar zamane se

    darweshon ne dasht mein ja kar rahne ki tayari ki

    sine se lagte hi gham ka bojh utarne lagta tha

    thi maujud zamane mein ek rasm ki pursa-dari ki

    sab diwane dekh ke mujh ko hairat se do-chaar hue

    sar pe jab dastar sajai wahshat ki sardari ki

    jagah jagah pe ashk-fishani sare kaghaz gile hain

    baaten bilkul sach lagti hain ek majbur likhaari ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now