din bhar ghamon ki dhup mein chalna paDa mujhe
din bhar ġhamoñ kī dhuup meñ chalnā paḌā mujhe
rātoñ ko sham.a ban ke pighalnā paḌā mujhe
Thahrī hī thī nigāh ki manzar badal gayā
ruknā paḌā mujhe kabhī chalnā paḌā mujhe
har har qadam pe jānñe vāloñ kī bhiiḌ thī
har har qadam pe bhes badalnā paḌā mujhe
rañgoñ ke intiḳhāb se uktā ke ek din
rañgoñ ke dā.ere se nikalnā paḌā mujhe
duniyā kī ḳhvāhishoñ ne mirī raah rok lī
duniyā kī ḳhvāhishoñ ko kuchalnā paḌā mujhe
bārish kuchh itnī tez huī ab ke tanz kī
gir gir ke bār-bār sambhalnā paḌā mujhe
har āshnā nigāh yahāñ ajnabī lagī
majbūr ho ke ghar se nikalnā paḌā mujhe
din bhar ghamon ki dhup mein chalna paDa mujhe
raaton ko shama ban ke pighalna paDa mujhe
Thahri hi thi nigah ki manzar badal gaya
rukna paDa mujhe kabhi chalna paDa mujhe
har har qadam pe jaanne walon ki bhiD thi
har har qadam pe bhes badalna paDa mujhe
rangon ke intiKHab se ukta ke ek din
rangon ke daere se nikalna paDa mujhe
duniya ki KHwahishon ne meri rah rok li
duniya ki KHwahishon ko kuchalna paDa mujhe
barish kuchh itni tez hui ab ke tanz ki
gir gir ke bar-bar sambhalna paDa mujhe
har aashna nigah yahan ajnabi lagi
majbur ho ke ghar se nikalna paDa mujhe
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 106)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.