din bhar jaane kis kis se ye milta hai
din bhar jaane kis kis se ye miltā hai
jism hamārā shaam ko tanhā rahtā hai
tasvīreñ hairat se dekhā kartīñ haiñ
kamra mujh se jaan chhuḌāyā kartā hai
saarī ummīdeñ mujh ko beva lagtīñ haiñ
lagtā hai saare jag meñ añdhiyārā hai
jab bhī husn chaman meñ dekhā kartā huuñ
sar merā ye bhārī hotā jaatā hai
jis mūrat ko dekh rahe haiñ sab ke sab
maiñ ne hī ye patthar aaj tarāshā hai
ek hī ḳhvāb to maiñ ne dekhā thā yaaro
ḳhvāb koī sadiyoñ tak chaltā rahtā hai
duniyā mujh ko pāgal pāgal kahtī hai
ab maiñ pāgal ho jā.ūñgā lagtā hai
āñkhoñ ko tālāb banā kar ke apnī
ik banjāra saaya dekhā kartā hai
din bhar jaane kis kis se ye milta hai
jism hamara sham ko tanha rahta hai
taswiren hairat se dekha kartin hain
kamra mujh se jaan chhuDaya karta hai
sari ummiden mujh ko bewa lagtin hain
lagta hai sare jag mein andhiyara hai
jab bhi husn chaman mein dekha karta hun
sar mera ye bhaari hota jata hai
jis murat ko dekh rahe hain sab ke sab
main ne hi ye patthar aaj tarasha hai
ek hi KHwab to main ne dekha tha yaro
KHwab koi sadiyon tak chalta rahta hai
duniya mujh ko pagal pagal kahti hai
ab main pagal ho jaunga lagta hai
aankhon ko talab bana kar ke apni
ek banjara saya dekha karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.