din guzar jata hai par raat se ji Darta hai
din guzar jaatā hai par raat se jī Dartā hai
chhat shikasta ho to barsāt se jī Dartā hai
phuul shāḳhoñ pe bhī murjhā ke bikhar jaate haiñ
tū ho gar saath tire saath se jī Dartā hai
ābgīne meñ ta.alluq ke na baal aa.e kahīñ
baat karte hue har baat se jī Dartā hai
chāñdnī rāteñ na aa.eñ ye duā kartā huuñ
ab to guzre hue lamhāt se jī Dartā hai
phir tamāzat tire pahlū kī jagā detī hai
niiñd meñ bhī tirī is ghaat se jī Dartā hai
din guzar jata hai par raat se ji Darta hai
chhat shikasta ho to barsat se ji Darta hai
phul shaKHon pe bhi murjha ke bikhar jate hain
tu ho gar sath tere sath se ji Darta hai
aabgine mein talluq ke na baal aae kahin
baat karte hue har baat se ji Darta hai
chandni raaten na aaen ye dua karta hun
ab to guzre hue lamhat se ji Darta hai
phir tamazat tere pahlu ki jaga deti hai
nind mein bhi teri is ghat se ji Darta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.