din guzarta nahin raat Dhalti nahin
din guzartā nahīñ raat Dhaltī nahīñ
ek hasrat hai dil se nikaltī nahīñ
rāsta dekhtī haiñ nigāheñ tirā
is taraf dil kī hālat sañbhaltī nahīñ
ġham hazāroñ haiñ par muskurātī huuñ maiñ
kyā karūñ merī aadat badaltī nahīñ
muddateñ ho ga.iiñ ahd-e-ḳhāmosh ko
aarzū koī dil meñ machaltī nahīñ
sab kitāboñ meñ mahfūz haiñ aaj tak
maiñ kisī phuul ko bhī masaltī nahīñ
bas yahī ek 'zarqā' meñ achchhā.ī hai
koī bhī raaz apnā ugaltī nahīñ
din guzarta nahin raat Dhalti nahin
ek hasrat hai dil se nikalti nahin
rasta dekhti hain nigahen tera
is taraf dil ki haalat sanbhalti nahin
gham hazaron hain par muskuraati hun main
kya karun meri aadat badalti nahin
muddaten ho gain ahd-e-KHamosh ko
aarzu koi dil mein machalti nahin
sab kitabon mein mahfuz hain aaj tak
main kisi phul ko bhi masalti nahin
bas yahi ek 'zarqa' mein achchhai hai
koi bhi raaz apna ugalti nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.