din guzrega raat ka manzar aaega
din guzregā raat kā manzar aa.egā
shahr-e-junūñ meñ phir vo ḳhud-sar aa.egā
saarī umr guzar jā.egī tab shāyad
umr ke āḳhir hisse meñ ghar aa.egā
ruuTh ke mujh se jaane vaalā shaam Dhale
ban kar ḳhvāb mirī palkoñ par aa.egā
achchhe din kī aas lagā.e baiThe haiñ
jaane kab phir din vo behtar aa.egā
nain churā kar pher ke muñh jaane vaalā
ḳhvāb meñ āḳhir mere shab-bhar aa.egā
likh likh kar saarī duniyā thak jā.egā
mujh ko likhnā tab paanī par ānegā
din guzrega raat ka manzar aaega
shahr-e-junun mein phir wo KHud-sar aaega
sari umr guzar jaegi tab shayad
umr ke aaKHir hisse mein ghar aaega
ruTh ke mujh se jaane wala sham Dhale
ban kar KHwab meri palkon par aaega
achchhe din ki aas lagae baiThe hain
jaane kab phir din wo behtar aaega
nain chura kar pher ke munh jaane wala
KHwab mein aaKHir mere shab-bhar aaega
likh likh kar sari duniya thak jaega
mujh ko likhna tab pani par aanega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.