din hai bhaari gham-e-furqat ke giraftaron par
din hai bhārī ġham-e-furqat ke giraftāroñ par
raat kaTtī hai dahakte hue angāroñ par
husn vāloñ kī ḳhudā.ī hai ḳhudā.ī barham
kis ko rahm aa.e mohabbat ke gunah-gāroñ par
phūñk de barq nasheman ko chamak kar na Darā.e
āñkheñ ab rakkhī nahīñ jaatī haiñ angāroñ par
dil kī qīmat nahīñ koī ki yahī ek hai dil
maiñ ne ḳhud chhoḌ diyā mol ḳharīdāroñ par
āshiqī ko jo gadā.ī se milāyā na 'razā'
to ra.ūnat kā bhī ilzām hai ḳhuddāroñ par
din hai bhaari gham-e-furqat ke giraftaron par
raat kaTti hai dahakte hue angaron par
husn walon ki KHudai hai KHudai barham
kis ko rahm aae mohabbat ke gunah-garon par
phunk de barq nasheman ko chamak kar na Darae
aankhen ab rakkhi nahin jati hain angaron par
dil ki qimat nahin koi ki yahi ek hai dil
main ne KHud chhoD diya mol KHaridaron par
aashiqi ko jo gadai se milaya na 'raza'
to raunat ka bhi ilzam hai KHuddaron par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.