Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

din hua aur raushni hi nahin

Shahnaz Parveen Sahar

din hua aur raushni hi nahin

Shahnaz Parveen Sahar

MORE BYShahnaz Parveen Sahar

    din huā aur raushnī nahīñ

    chāñd niklā to chāñdnī nahīñ

    beach jañgal meñ raah bhūlī thī

    lauT kar ghar kabhī ga.ī nahīñ

    haal aur maazī ek jaise haiñ

    vaqt se merī dostī nahīñ

    merī āñkhoñ ko le uḌā bādal

    aisī bārish huī thamī nahīñ

    be-sahārā thakan hai aur maiñ huuñ

    manzil-e-ishq tak chalī nahīñ

    kuchh sitāroñ ne ḳhud-kushī kar

    kuchh sitāroñ meñ saañs thī nahīñ

    ye sahar aa.ine meñ kaun hai ab

    merī sūrat kabhī milī nahīñ

    din hua aur raushni hi nahin

    chand nikla to chandni hi nahin

    beach jangal mein rah bhuli thi

    lauT kar ghar kabhi gai hi nahin

    haal aur mazi ek jaise hain

    waqt se meri dosti hi nahin

    meri aankhon ko le uDa baadal

    aisi barish hui thami hi nahin

    be-sahaara thakan hai aur main hun

    manzil-e-ishq tak chali hi nahin

    kuchh sitaron ne KHud-kushi kar li

    kuchh sitaron mein sans thi hi nahin

    ye sahar aaine mein kaun hai ab

    meri surat kabhi mili hi nahin

    Source :
    • Book : Word File Mail By Salim Saleem
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now