din hua kaT kar gira main raushni ki dhaar se
din huā kaT kar girā maiñ raushnī kī dhaar se
ḳhalq ne dekhe lahū meñ raat ke anvār se
uḌ gayā kaalā kabūtar muḌ ga.ī ḳhvāboñ kī rau
sāya-e-dīvār ne kyā kah diyā dīvār se
jab se dil andhā huā āñkheñ khulī rakhtā huuñ maiñ
us pe martā bhī huuñ ġhāfil bhī nahīñ ghar-bār se
ḳhaak par uḌtī bikhartī purza purza aarzū
yaad hai ye kuchh havā kī āḳhirī yalġhār se
ab to bārish ho hī jaanī chāhiye us ne kahā
taaki bojh utre purānī gard kā ashjār se
ishq to ab sher kahne kā bahāna rah gayā
harf ko rakhtā huuñ raushan sho.ala-e-afkār se
shahr ke naqshe se maiñ miT bhī chukā kab kā 'zafar'
chār-sū lekin chamakte haiñ mire āsār se
din hua kaT kar gira main raushni ki dhaar se
KHalq ne dekhe lahu mein raat ke anwar se
uD gaya kala kabutar muD gai KHwabon ki rau
saya-e-diwar ne kya kah diya diwar se
jab se dil andha hua aankhen khuli rakhta hun main
us pe marta bhi hun ghafil bhi nahin ghar-bar se
KHak par uDti bikharti purza purza aarzu
yaad hai ye kuchh hawa ki aaKHiri yalghaar se
ab to barish ho hi jaani chahiye us ne kaha
taki bojh utre purani gard ka ashjar se
ishq to ab sher kahne ka bahana rah gaya
harf ko rakhta hun raushan shoala-e-afkar se
shahr ke naqshe se main miT bhi chuka kab ka 'zafar'
chaar-su lekin chamakte hain mere aasar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.