din hua KHatm waqt-e-sham aaya
din huā ḳhatm vaqt-e-shām aaya
hijr meñ maut kā payām aaya
har ghaḌī lab pe un kā naam aaya
bekasī meñ yahī to kaam aaya
hai mohabbat meñ rāzdārī shart
lab tak un kā kabhī na naam aaya
shab ko va.ada hai un ke aane kā
kis musībat se vaqt-e-shām aaya
ġham nahīñ dil jo mil gayā un se
na sahī mere un ke kaam aaya
sunñe vaalā bayāñ hai vaa.iz kā
maiñ abhī pī ke ek jaam aaya
kyā mohabbat meñ ġhair kā shikva
dil jo apnā thā kab vo kaam aaya
ḳhum ke ḳhum ġhair kar ga.e ḳhālī
mere hisse meñ ek jaam aaya
harf-e-matlab na thā kahīñ marqūm
ḳhat bhī un kā barā.e-nām aaya
ḳhuub piite pilāte ai zāhid
zohd-o-taqvā bhī koī kaam aaya
ek hālat se hijr meñ guzrī
farq koī na sub.h-o-shām aaya
kis bayābāñ meñ laa.ī hai vahshat
ai junūñ kaun ye maqām aaya
ab ye aalam hai nā-tavānī kā
lab pe naala bhī nā-tamām aaya
be-nishāñ ho ga.ī mirī turbat
is taraf kaun ḳhush-ḳhirām aaya
ibtidā thī vo ishq-o-ulfat kī
dil sā hamdard jis meñ kaam aaya
sharh-e-ġham kar sakā na mahshar meñ
sab ke āḳhir meñ merā naam aaya
chheḌ thī ye bhī aap ke ḳhat meñ
ġhair kā jo likhā salām aaya
rahne deñge na but haram meñ mujhe
dair se aaj phir payām aaya
dil se ummīd thī hameñ kyā kyā
vo bhī 'ishrat' unhīñ ke kaam aaya
din hua KHatm waqt-e-sham aaya
hijr mein maut ka payam aaya
har ghaDi lab pe un ka nam aaya
bekasi mein yahi to kaam aaya
hai mohabbat mein raazdari shart
lab tak un ka kabhi na nam aaya
shab ko wada hai un ke aane ka
kis musibat se waqt-e-sham aaya
gham nahin dil jo mil gaya un se
na sahi mere un ke kaam aaya
sunne wala bayan hai waiz ka
main abhi pi ke ek jam aaya
kya mohabbat mein ghair ka shikwa
dil jo apna tha kab wo kaam aaya
KHum ke KHum ghair kar gae KHali
mere hisse mein ek jam aaya
harf-e-matlab na tha kahin marqum
KHat bhi un ka barae-nam aaya
KHub pite pilate ai zahid
zohd-o-taqwa bhi koi kaam aaya
ek haalat se hijr mein guzri
farq koi na subh-o-sham aaya
kis bayaban mein lai hai wahshat
ai junun kaun ye maqam aaya
ab ye aalam hai na-tawani ka
lab pe nala bhi na-tamam aaya
be-nishan ho gai meri turbat
is taraf kaun KHush-KHiram aaya
ibtida thi wo ishq-o-ulfat ki
dil sa hamdard jis mein kaam aaya
sharh-e-gham kar saka na mahshar mein
sab ke aaKHir mein mera nam aaya
chheD thi ye bhi aap ke KHat mein
ghair ka jo likha salam aaya
rahne denge na but haram mein mujhe
dair se aaj phir payam aaya
dil se ummid thi hamein kya kya
wo bhi 'ishrat' unhin ke kaam aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.