din ka aaghaz kijiye sahib
din kā āġhāz kījiye sāhib
ā.īye chaa.e pījiye sāhib
aur koī kisī ko kyā degā
ik tabassum hī dījiye sāhib
har taraf qudratī nazāre haiñ
band āñkheñ na kījiye sāhib
tāzgī hai khulī havāoñ meñ
saañs jī bhar ke lījiye sāhib
phuul bikhre paḌe haiñ gulshan meñ
ḳhud ko gul-dān kījiye sāhib
zindagī to ḳhudā kī ne.amat hai
na jiye gar to kyā jiye sāhib
din ka aaghaz kijiye sahib
aaiye chae pijiye sahib
aur koi kisi ko kya dega
ek tabassum hi dijiye sahib
har taraf qudrati nazare hain
band aankhen na kijiye sahib
tazgi hai khuli hawaon mein
sans ji bhar ke lijiye sahib
phul bikhre paDe hain gulshan mein
KHud ko gul-dan kijiye sahib
zindagi to KHuda ki neamat hai
na jiye gar to kya jiye sahib
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.