din kaThin jaise hai sitaron par
din kaThin jaise hai sitāroñ par
raat bhārī hai be-qarāroñ par
tujh ko ma.alūm kyoñ nahīñ paḌtā
kyā guzartī hai sogvāroñ par
kar le tasḳhīr tū zamīñ apnī
hai nazar merī chāñd tāroñ par
nāchtā hai jo nāche jī-bhar ke
maiñ nahīñ nāchtā ishāroñ par
jis ko jalva tirā mayassar ho
kyoñ nazar Daale vo nazāroñ par
jin ko samjhā thā nā-ḳhudā maiñ ne
vo khaḌe rah ga.e kināroñ par
'faiz' koī nahīñ milā kartā
ishq chaltā hai bas ḳhasāroñ par
din kaThin jaise hai sitaron par
raat bhaari hai be-qararon par
tujh ko malum kyon nahin paDta
kya guzarti hai sogwaron par
kar le tasKHir tu zamin apni
hai nazar meri chand taron par
nachta hai jo nache ji-bhar ke
main nahin nachta ishaaron par
jis ko jalwa tera mayassar ho
kyon nazar Dale wo nazaron par
jin ko samjha tha na-KHuda main ne
wo khaDe rah gae kinaron par
'faiz' koi nahin mila karta
ishq chalta hai bas KHasaron par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.