din ke hangamon mein duniya thi tamashai meri
din ke hangāmoñ meñ duniyā thī tamāshā.ī mirī
phir vahī maiñ thā vahī raat kī tanhā.ī mirī
mujh meñ sar-garm hai ik mā’rka-e-karb-o-balā
aur mirī fat.h huī jaatī hai paspā.ī mirī
apne hī aap meñ Duubā huuñ na jaane kitnā
zindagī naap rahī hai abhī gahrā.ī mirī
Dūbne aur ubharne kā tamāshā thā mirā
aur ik bhiiḌ thī sāhil pe tamāshā.ī mirī
jurm ye thā ki use dekh liyā thā yūñhī
aur sazā ye hai ki jaatī rahī bīnā.ī mirī
din ke hangamon mein duniya thi tamashai meri
phir wahi main tha wahi raat ki tanhai meri
mujh mein sar-garm hai ek ma’rka-e-karb-o-bala
aur meri fath hui jati hai paspai meri
apne hi aap mein Duba hun na jaane kitna
zindagi nap rahi hai abhi gahrai meri
Dubne aur ubharne ka tamasha tha mera
aur ek bhiD thi sahil pe tamashai meri
jurm ye tha ki use dekh liya tha yunhi
aur saza ye hai ki jati rahi binai meri
- Book : Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 87)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2017)
- Edition : First
- Book : Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 85)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.