din ki dahliz pe Thahre hue sae bhi gae
din kī dahlīz pe Thahre hue saa.e bhī ga.e
raat kyā aa.ī ki apne bhī parā.e bhī ga.e
'aks tā'bīr kā ubhre ye tamannā hī rahī
aa.ine ḳhvāb ke āñkhoñ ko dikhā.e bhī ga.e
tohmat-e-ḳhosha-e-gandum hai abhī tak sar par
ham uchhāle bhī ga.e ham ki girā.e bhī ga.e
shajar-e-dard ki kal bhī thā harā aaj bhī hai
vaqt kī dhuup meñ ham garche jalā.e bhī ga.e
ham to un meñ haiñ jo rote haiñ to rote hī raheñ
tum vo ḳhush-baḳht ki ro.e to hañsā.e bhī ga.e
qissa-e-dard bahar-hāl sunātī hī rahī
garche dīvār pe sau rang chaḌhā.e bhī ga.e
din ki dahliz pe Thahre hue sae bhi gae
raat kya aai ki apne bhi parae bhi gae
'aks ta'bir ka ubhre ye tamanna hi rahi
aaine KHwab ke aankhon ko dikhae bhi gae
tohmat-e-KHosha-e-gandum hai abhi tak sar par
hum uchhaale bhi gae hum ki girae bhi gae
shajar-e-dard ki kal bhi tha hara aaj bhi hai
waqt ki dhup mein hum garche jalae bhi gae
hum to un mein hain jo rote hain to rote hi rahen
tum wo KHush-baKHt ki roe to hansae bhi gae
qissa-e-dard bahar-haal sunati hi rahi
garche diwar pe sau rang chaDhae bhi gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.